About YojanaPatra
YojanaPatra ek swatantra jankari website hai. Hamara maksad sirf itna hai — sarkari yojanaon ki jankari, jo aam taur par sarkari sites ki ghumav-daar bhasha aur bade-bade PDF me chhupi rehti hai, use saral Hinglish me is tarah pesh karna ki har aadmi 2 minute me samajh jaye: kitna milega, kaun patr hai, kaunse kagaz lagenge, aur apply kahan hoga.
Hum jankari kaise verify karte hain
- Har yojana ka data sirf official sroton se liya jata hai — yojana ka official portal, sambandhit mantralay/vibhag, ya sarkari ghoshna.
- Har page par neeche srot (source) aur check ki tareekh di jati hai.
- Jo cheez official source se confirm na ho, use hum page par likhte hi nahi — ya saaf likhte hain ki "official portal par confirm karein".
- Rakam, patrata ya tareekh me galti dikhe to Contact page par batayein — verify karke turant sudhar hoga.
Shuruaat kahan se
Site ki shuruaat Maharashtra + Central ki mukhya yojanaon se hui hai. Aage चलकर dusre rajyon aur shreniyon ki yojanaein ek-ek karke, puri gehraai ke saath jodti jayengi — patli aur aadhi-adhuri jankari hum nahi dalte.
Humse judein
YojanaPatra FK Digital Media ka ek prayas hai. Hamse yahan milein:
📸 Instagram: instagram.com/rtibyfiroz
💼 LinkedIn: linkedin.com/in/firoz-khan-1153358a
Saf saf: YojanaPatra koi sarkari website nahi hai aur kisi sarkari vibhag se joda hua nahi hai. Awedan hamesha yojana ke official portal se karein. Pura vivaran Disclaimer me padhein.